Monday, March 8, 2010

Pyar woh hamko bepanah kar gaye,
phire zindagi me hamko tanha kar gaye,
chahat thi unki ishq me fanah hone ki,
magar woh laut kar anese mana kar gaye....

mere khuda khushi de unhe,
humne to aansuon ki chahat ki hai,
wo mujhe bhula de ye haq hai unhe,
hamari baat alag hai humne to mohobbat ki hai...........

Teri chaukhat se sar uthaon to bewafa kehna,
Tere siwa kisi ko dil mein basaon to bewafa kehna,
Tujhe agar meri wafa per shak hai to uthalo khanjar
Main shauk se na mar jaaon to bewafa kehna…!

Usne puchha kyun laal hai aankhen teri,
maine kaha kal raat so na saka tha…
laakh chahoon par yeh keh na sakunga,
khwahish thi rone ki par ro na saka tha…!!!

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge.
Saye se bhi apne kabhi shikwa na karenge.
Puchhenge hawaon se ghataon se tera haal,
Milne ki kabhi dua na karenge...!!!

Yoon Na Kheench Apni Taraf Be-bas Kar Ke...
Kahin Aisa Na Ho Ke Khud Say Bicharr Jaoon Aur Tum Bhi Na Milo

No comments:

Post a Comment