aksar sochta raha hun apni maat par
kyun har dost mujhko dagaa de jata hai,
itni zaalim kyun ho gayee hai ye duniya
kyun dost dushmanon saa ghaat de jata hai.
kaun badal sakaa hai kab apna naseeb
gar khuda mile bhi to achraj kya hai,
kisi shabri ko milta nahin ab raam
aah...prem kee wo seerat jaane kya hai.
keemat de kar khareed paata gar koi pal
jaan de dun kuchh aur beshkeemati nahin hai,
de de sukoon ki ek saans mere allah...
chaahe aakhiri hin ho koi gam nahin hai.
maaloonm nahin kab tak hai jeena yun besabab
yaa rab mukarrar ab aakhiri taarikh kar,
''shab'' aazaar ranj duniya ka door ho kaise
ae khuda fana ho jaaun dua meri ataa kar.
________________________________
No comments:
Post a Comment