mujhko tukado meiN jina gawara nahi’n
par bin tukado ke bhi apna gujara nahi’n
looNt kar kisii ka jahaN bhar lu apni jholi
aye khuda ! itna bhi main aawara nahi’n
sabne mod rakha hai mukh,tu na mod lena
kii tere dar ke siva mera ko’i sahara nahi’n
naa paa sake hum aaisi ko’i daulat nahi’n
par bech kee imaan, yeh gawara nahi’n
jab bhi ferta huu nazar mehfil-e-shehar ko
sukan-e-jahaN ka milta ko’i nazara nahi’n
muddtoN se chal raha dard bhari rahOn par
Kab hai zakhmo ko raahat? koi ishara nahi’n
Na kar aur sitam,na badal rukh hawa ka tuu
k abtak Anshu ko mila ko’i mukkamal kinara nahi’n
No comments:
Post a Comment